I Lost 2fa Secret Key! How To Recover Poloniex Account
Hello Friends,
Dosto aaj ke time ki baat kare to kafi aise person hai jo Cryptocurrency trading kar rahe hai chahe wo Poloniex ho ya Bittrex,yobit,C-Cex,Coinexchange,Cryptopia kahi bhi aap trading kar rahe ho lekin kuchh cheeje aisi hai jab wo real life me hamare sath hoti hai and hum problem ko face karte hai tabhi uske bare me hame maloom hota hai us se pahle hame dhyan hi nahi rahta.
Because is Online world me jitna aasan aapko dikhta hai jitna easy aapko lagta hai ki earning karna aasan hai actual me utna easy nahi hai aap me se na jane kitne person aise honge jinhone 2fa security activate nahi ki hogi abhi tak or na jaane kitne aise person honge jinhone 2fa Security to activate kar li hai but unhone
(16 Digit Secret key)
Note nahi ki to sabse pahle aap sabhi se Request hai ki apni Secret key note kar lijiye agar aapka mobile lost ho gaya ya aapne use Restore kiya to aapko kafi problem ho sakti hai use recover karne me Because jitni bhi Cryptocurrency exchange hai inka support system aisa nahi hai ki one hour or withink 24 hour me aapko response milta rahega kabhi 2 one week or is se bhi jyada time lag jata hai response aane me.
Agar aap trading kar rahe hai or aapne Secret key ko note nahi kiya to meri advise hai aapko ki aap apna Fund Bitcoin me withdrawl laga lijiye uske baad apne Ac se 2fa disabled kijiye and Again re-enable kijiye uske baad jo aapko 2fa Secret key show hogi use aap note kijiye Diary me note kijiye ya Laptop me ya Mobile kam se kam 3 jagah jaroor note kijiye jis se aapko baad me koi problem na ho,
Abhi na jane kitne aise person hai jo ye problem face kar rahe hai agar aapse mistake ho gayi hai to fir ye process kijiye aap is se insha allah aapko Account recover karwane me kafi help milegi ye Poloniex exchange ke liye hai.
Sabse pahle aapko Poloniex support par click karna hai and new Ticket create karna hai is link ke upar aap click karke support par ja sakte ho,
Ye Screen shot se bhi aapko kafi help milegi.
Sign up par click karke aapko registration karna hai is link par click karke complete process aap dekh lijiye but kafi person aise hai jo english samajh nahi paate unke liye ye post kafi helpful rahegi.
Registration complete hone ke baad aapko New Support Ticket par click karna hai uske baad aapko complete details enter karni hai and kya problem aapko aa rahi hai usko ache se explain karna hai point to point.
Description me problem explain karne ke baad aapko batana hai ki kon-kon se coin aapke wallet me hold hai and Bitcoin me kitni amount hai total wallet me estimated fund kitna hai,
Tx id or Hash id aapko aapko attach karni ha sath me kis Bitcoin address par aapne send kiya hai and Kis wallet address se aapne send kiya hai ye bhi aapko attach kar dena hai,
Ye sab kuch aapko TEXT karna hai Screen shot nahi send karna.
Dosto aapko apni family ki aor personal information nahi send karni hai and na hi baar-baar support ticket create karna hai ye sabhi details send karne ke baad aapko wait karna hai Poloniex team ke response ka,
Dosto ummid hai ye post kafi helpful rahegi aap sabhi ke liye is post ko jyada se jyada share kijiye jis se aapke friends ko bhi is se help mile or kisi ko jyada problam na ho.
Mai Global Rashid Dil Se Aap Sabhi Ke Sapno Ko Support Karta Hu.